Jaur Se Baz Aae Par Baz Aaen Kya

jaur se baz aae par baz aaen kya

kahte hain hum tujh ko munh dikhlaen kya

raat din gardish mein hain sat aasman

ho rahega kuchh na kuchh ghabraen kya

lag ho to us ko hum samjhen lagao

jab na ho kuchh bhi to dhoka khaen kya

ho liye kyun nama-bar ke sath sath

ya rab apne KHat ko hum pahunchaen kya

mauj-e-KHun sar se guzar hi kyun na jae

aastan-e-yar se uTh jaen kya

umr bhar dekha kiya marne ki rah

mar gae par dekhiye dikhlaen kya

puchhte hain wo ki 'ghaalib' kaun hai

koi batlao ki hum batlaen kya

(962) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaur Se Baz Aae Par Baz Aaen Kya In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Jaur Se Baz Aae Par Baz Aaen Kya is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Jaur Se Baz Aae Par Baz Aaen Kya for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Jaur Se Baz Aae Par Baz Aaen Kya in PDF.