Ki Wafa Humse To Ghair Isko Jafa Kahte Hain

ki wafa hum se to ghair is ko jafa kahte hain

hoti aai hai ki achchhon ko bura kahte hain

aaj hum apni pareshani-e-KHatir un se

kahne jate to hain par dekhiye kya kahte hain

agle waqton ke hain ye log inhen kuchh na kaho

jo mai o naghma ko andoh-ruba kahte hain

dil mein aa jae hai hoti hai jo fursat ghash se

aur phir kaun se nale ko rasa kahte hain

hai par-e-sarhad-e-idrak se apna masjud

qible ko ahl-e-nazar qibla-numa kahte hain

pa-e-afgar pe jab se tujhe rahm aaya hai

KHar-e-rah ko tere hum mehr-e-giya kahte hain

ek sharar dil mein hai us se koi ghabraega kya

aag matlub hai hum ko jo hawa kahte hain

dekhiye lati hai us shoKH ki naKHwat kya rang

us ki har baat pe hum nam-e-KHuda kahte hain

'wahshat' o 'shefta' ab marsiya kahwen shayad

mar gaya 'ghaalib'-e-ashufta-nawa kahte hain

(1261) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ki Wafa Humse To Ghair Isko Jafa Kahte Hain In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Ki Wafa Humse To Ghair Isko Jafa Kahte Hain is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Ki Wafa Humse To Ghair Isko Jafa Kahte Hain for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Ki Wafa Humse To Ghair Isko Jafa Kahte Hain in PDF.