Koi Din Gar Zindagani Aur Hai

koi din gar zindagani aur hai

apne ji mein hum ne Thani aur hai

aatish-e-dozaKH mein ye garmi kahan

soz-e-gham-ha-e-nihani aur hai

bar-ha dekhi hain un ki ranjishen

par kuchh ab ke sargirani aur hai

de ke KHat munh dekhta hai nama-bar

kuchh to paigham-e-zabani aur hai

qata-e-emar hai aksar nujum

wo bala-e-asmani aur hai

ho chukin 'ghaalib' balaen sab tamam

ek marg-e-na-gahani aur hai

(1468) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Koi Din Gar Zindagani Aur Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Koi Din Gar Zindagani Aur Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Koi Din Gar Zindagani Aur Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Koi Din Gar Zindagani Aur Hai in PDF.