Muzhda Ai Zauq-e-asiri Ki Nazar Aata Hai

muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aata hai

dam-e-KHali qafas-e-murgh-e-giraftar ke pas

jigar-e-tishna-e-azar tasalli na hua

ju-e-KHun hum ne bahai bun-e-har KHar ke pas

mund gain kholte hi kholte aankhen hai hai

KHub waqt aae tum is aashiq-e-bimar ke pas

main bhi ruk ruk ke na marta jo zaban ke badle

dashna ek tez sa hota mere gham-KHwar ke pas

dahan-e-sher mein ja baiThe lekin ai dil

na khaDe ho jiye KHuban-e-dil-azar ke pas

dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu karta hai

KHud-ba-KHud pahunche hai gul gosha-e-dastar ke pas

mar gaya phoD ke sar 'ghaalib'-e-wahshi hai hai

baiThna us ka wo aa kar teri diwar ke pas

(1030) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muzhda Ai Zauq-e-asiri Ki Nazar Aata Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Muzhda Ai Zauq-e-asiri Ki Nazar Aata Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Muzhda Ai Zauq-e-asiri Ki Nazar Aata Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Muzhda Ai Zauq-e-asiri Ki Nazar Aata Hai in PDF.