Na Tha Kuchh To KHuda Tha Kuchh Na Hota To KHuda Hota

na tha kuchh to KHuda tha kuchh na hota to KHuda hota

Duboya mujh ko hone ne na hota main to kya hota

hua jab gham se yun be-his to gham kya sar ke kaTne ka

na hota gar juda tan se to zanu par dhara hota

hui muddat ki 'ghaalib' mar gaya par yaad aata hai

wo har ek baat par kahna ki yun hota to kya hota

(2063) Peoples Rate This

Related Poetry


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544