Rashk Kahta Hai Ki Us Ka Ghair Se IKHlas Haif

rashk kahta hai ki us ka ghair se iKHlas haif

aql kahti hai ki wo be-mehr kis ka aashna

zarra zarra saghar-e-mai-KHana-e-nai-rang hai

gardish-e-majnun ba-chashmak-ha-e-laila aashna

shauq hai saman-taraaz-e-nazish-e-arbab-e-ajz

zarra sahra-dast-gah o qatra dariya-ashna

main aur ek aafat ka TukDa wo dil-e-wahshi ki hai

aafiyat ka dushman aur aawargi ka aashna

shikwa-sanj-e-rashk-e-ham-digar na rahna chahiye

mera zanu munis aur aaina tera aashna

kohkan naqqash-e-yak-timsal-e-shirin tha 'asad'

sang se sar mar kar howe na paida aashna

KHud-parasti se rahe baham-digar na-ashna

bekasi meri sharik aaina tera aashna

aatish-e-mu-e-dimagh-e-shauq hai tera tapak

warna hum kis ke hain ai dagh-e-tamanna aashna

jauhar-e-aina juz ramz-e-sar-e-mizhgan nahin

aashna ki ham-digar samjhe hai ima aashna

rabt-e-yak-shiraaza-e-wahshat hain ajza-e-bahaar

sabza begana saba aawara gul na-ashna

be-dimaghi shikwa-sanj-e-rashk-e-ham-digar nahin

yar tera jam-e-mai KHamyaza mera aashna

(1663) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rashk Kahta Hai Ki Us Ka Ghair Se IKHlas Haif In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Rashk Kahta Hai Ki Us Ka Ghair Se IKHlas Haif is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Rashk Kahta Hai Ki Us Ka Ghair Se IKHlas Haif for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Rashk Kahta Hai Ki Us Ka Ghair Se IKHlas Haif in PDF.