Safa-e-hairat-e-aina Hai Saman-e-zang AaKHir

safa-e-hairat-e-aina hai saman-e-zang aaKHir

taghayyur aab-e-bar-ja-manda ka pata hai rang aaKHir

na ki saman-e-aish-o-jah ne tadbir wahshat ki

hua jam-e-zumurrad bhi mujhe dagh-e-palang aaKHir

KHat-e-nau-KHez nil-e-chashm zaKHm-e-safi-e-ariz

liya aaina ne hirz-e-par-e-tuti ba-chang aaKHir

hilal-asa tahi rah gar kushadan-ha-e-dil chahe

hua mah kasrat-e-sarmaya-andozi se tang aaKHir

taDap kar mar gaya wo said-e-baal-afshan ki muztar tha

hua nasu-e-chashm-e-taziyat chashm-e-KHadang aaKHir

likhi yaron ki bad-masti ne maiKHane ki pamali

hui qatra-fishani-ha-e-mai-baran-e-sang aaKHir

'asad' parde mein bhi aahang-e-shauq-e-yar qaem hai

nahin hai naghme se KHali KHamidan-ha-e-chang aaKHir

(1231) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safa-e-hairat-e-aina Hai Saman-e-zang AaKHir In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Safa-e-hairat-e-aina Hai Saman-e-zang AaKHir is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Safa-e-hairat-e-aina Hai Saman-e-zang AaKHir for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Safa-e-hairat-e-aina Hai Saman-e-zang AaKHir in PDF.