Shab Ki Barq-e-soz-e-dil Se Zahra-e-abr Aab Tha

shab ki barq-e-soz-e-dil se zahra-e-abr aab tha

shoala-e-jawwala har yak halqa-e-girdab tha

wan karam ko uzr-e-barish tha inan-gir-e-KHiram

girye se yan pumba-e-baalish kaf-e-sailab tha

wan KHud-arai ko tha moti pirone ka KHayal

yan hujum-e-ashk mein tar-e-nigah nayab tha

jalwa-e-gul ne kiya tha wan charaghan aabju

yan rawan mizhgan-e-chashm-e-tar se KHun-e-nab tha

yan sar-e-pur-shor be-KHwabi se tha diwar-ju

wan wo farq-e-naz mahw-e-baalish-e-kim-KHwab tha

yan nafas karta tha raushan sham-e-bazm-e-be-KHudi

jalwa-e-gul wan bisat-e-sohbat-e-ahbab tha

farsh se ta arsh wan tufan tha mauj-e-rang ka

yan zamin se aasman tak soKHtan ka bab tha

na-gahan is rang se KHunaba Tapkane laga

dil ki zauq-e-kawish-e-naKHun se lazzat-yab tha

(1573) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab Ki Barq-e-soz-e-dil Se Zahra-e-abr Aab Tha In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Shab Ki Barq-e-soz-e-dil Se Zahra-e-abr Aab Tha is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Shab Ki Barq-e-soz-e-dil Se Zahra-e-abr Aab Tha for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Shab Ki Barq-e-soz-e-dil Se Zahra-e-abr Aab Tha in PDF.