Simab-pusht Garmi-e-aina De Hai Hum

simab-pusht garmi-e-aina de hai hum

hairan kiye hue hain dil-e-be-qarar ke

aaghosh-e-gul kushuda bara-e-wida hai

ai andalib chal ki chale din bahaar ke

yun baad-e-zabt-e-ashk phirun gird yar ke

pani piye kisu pe koi jaise war ke

baad-az-wida-e-yar ba-KHun dar tapida hain

naqsh-e-qadam hain hum kaf-e-pa-e-nigar ke

hum mashq-e-fikr-e-wasl-o-gham-e-hijr se 'asad'

laiq nahin rahe hain gham-e-rozgar ke

(1624) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Simab-pusht Garmi-e-aina De Hai Hum In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Simab-pusht Garmi-e-aina De Hai Hum is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Simab-pusht Garmi-e-aina De Hai Hum for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Simab-pusht Garmi-e-aina De Hai Hum in PDF.