Tum Jaano Tumko Ghair Se Jo Rasm-o-rah Ho

tum jaano tum ko ghair se jo rasm-o-rah ho

mujh ko bhi puchhte raho to kya gunah ho

bachte nahin muwaKHaza-e-roz-e-hashr se

qatil agar raqib hai to tum gawah ho

kya wo bhi be-gunah-kush o haq-na-shanas hain

mana ki tum bashar nahin KHurshid o mah ho

ubhra hua naqab mein hai un ke ek tar

marta hun main ki ye na kisi ki nigah ho

jab mai-kada chhuTa to phir ab kya jagah ki qaid

masjid ho madrasa ho koi KHanqah ho

sunte hain jo bahisht ki tarif sab durust

lekin KHuda kare wo tera jalwa-gah ho

'ghaalib' bhi gar na ho to kuchh aisa zarar nahin

duniya ho ya rab aur mera baadshah ho

(1170) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Jaano Tumko Ghair Se Jo Rasm-o-rah Ho In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Tum Jaano Tumko Ghair Se Jo Rasm-o-rah Ho is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Tum Jaano Tumko Ghair Se Jo Rasm-o-rah Ho for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Tum Jaano Tumko Ghair Se Jo Rasm-o-rah Ho in PDF.