Zamana SaKHt Kam-azar Hai Ba-jaan-e-asad

zamana saKHt kam-azar hai ba-jaan-e-asad

wagarna hum to tawaqqo zyaada rakhte hain

tan-e-ba-band-e-hawas dar nadada rakhte hain

dil-e-z-kar-e-jahan uftada rakhte hain

tamiz-e-zishti-o-neki mein lakh baaten hain

ba-aks-e-aina yak-fard-e-sada rakhte hain

ba-rang-e-saya hamein bandagi mein hai taslim

ki dagh-e-dil ba-jabin-e-kushada rakhte hain

ba-zahidan rag-e-gardan hai rishta-e-zunnar

sar-e-ba-pa-e-but-e-na-nihada rakhte hain

muaf-e-be-huda-goi hain nasehan-e-aziz

dil-e-ba-dast-e-nigare nadada rakhte hain

ba-rang-e-sabza azizan-e-bad-zaban yak-dast

hazar tegh-e-ba-zahr-ab-dada rakhte hain

adab ne saunpi hamein surma-sai-e-hairat

z-ban-e-basta-o-chashm-e-kushada rakhte hain

(1461) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamana SaKHt Kam-azar Hai Ba-jaan-e-asad In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Zamana SaKHt Kam-azar Hai Ba-jaan-e-asad is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Zamana SaKHt Kam-azar Hai Ba-jaan-e-asad for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Zamana SaKHt Kam-azar Hai Ba-jaan-e-asad in PDF.