Zikr Us Pari-wash Ka Aur Phir Bayan Apna

zikr us pari-wash ka aur phir bayan apna

ban gaya raqib aaKHir tha jo raaz-dan apna

mai wo kyun bahut pite bazm-e-ghair mein ya rab

aaj hi hua manzur un ko imtihan apna

manzar ek bulandi par aur hum bana sakte

arsh se udhar hota kash ke makan apna

de wo jis qadar zillat hum hansi mein Talenge

bare aashna nikla un ka pasban apna

dard-e-dil likhun kab tak jaun un ko dikhla dun

ungliyan figar apni KHama KHun-chakan apna

ghiste ghiste miT jata aap ne abas badla

nang-e-sajda se mere sang-e-astan apna

ta kare na ghammazi kar liya hai dushman ko

dost ki shikayat mein hum ne ham-zaban apna

hum kahan ke dana the kis hunar mein yakta the

be-sabab hua 'ghaalib' dushman aasman apna

(2429) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zikr Us Pari-wash Ka Aur Phir Bayan Apna In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Zikr Us Pari-wash Ka Aur Phir Bayan Apna is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Zikr Us Pari-wash Ka Aur Phir Bayan Apna for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Zikr Us Pari-wash Ka Aur Phir Bayan Apna in PDF.