Zulmat-kade Mein Mere Shab-e-gham Ka Josh Hai

zulmat-kade mein mere shab-e-gham ka josh hai

ek shama hai dalil-e-sahar so KHamosh hai

ne muzhda-e-visal na nazzara-e-jamal

muddat hui ki aashti-e-chashm-o-gosh hai

mai ne kiya hai husn-e-KHud-ara ko be-hijab

ai shauq! han ijazat-e-taslim-e-hosh hai

gauhar ko aqd-e-gardan-e-KHuban mein dekhna

kya auj par sitara-e-gauhar-farosh hai

didar baada hausla saqi nigah mast

bazm-e-KHayal mai-kada-e-be-KHarosh hai

ai taza wardan-e-bisat-e-hawa-e-dil

zinhaar agar tumhein hawas-e-nae-o-nosh hai

dekho mujhe jo dida-e-ibrat-nigah ho

meri suno jo gosh-e-nasihat-neosh hai

saqi-ba-jalwa dushman-e-iman-o-agahi

mutrib ba-naghma rahzan-e-tamkin-o-hosh hai

ya shab ko dekhte the ki har gosha-e-bisat

daman-e-baghban o kaf-e-gul-farosh hai

luft-e-KHiram-e-saqi o zauq-e-sada-e-chang

ye jannat-e-nigah wo firdaus-e-gosh hai

ya subh-dam jo dekhiye aa kar to bazm mein

ne wo surur o soz na josh-o-KHarosh hai

dagh-e-firaq-e-sohbat-e-shab ki jali hui

ek shama rah gai hai so wo bhi KHamosh hai

aate hain ghaib se ye mazamin KHayal mein

'ghaalib' sarir-e-KHama nawa-e-sarosh hai

(2883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zulmat-kade Mein Mere Shab-e-gham Ka Josh Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Zulmat-kade Mein Mere Shab-e-gham Ka Josh Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Zulmat-kade Mein Mere Shab-e-gham Ka Josh Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Zulmat-kade Mein Mere Shab-e-gham Ka Josh Hai in PDF.