Bas Ki Faalumma-yurid Hai Aaj

bas ki faalumma-yurid hai aaj

har silah shor englistan ka

ghar se bazar mein nikalte hue

zohra hota hai aab insan ka

chauk jis ko kahen wo maqtal hai

ghar bana hai namuna zindan ka

shahr-e-dehli ka zarra zarra KHak

tishna-e-KHun hai har musalman ka

koi wan se na aa sake yan tak

aadmi wan na ja sake yan ka

main ne mana ki mil gae phir kya

wahi rona tan o dil o jaan ka

gah jal kar kiya kiye shikwa

sozish-e-dagh-ha-e-pinhan ka

gah ro kar kaha kiye baham

majra dida-ha-e-giryan ka

is tarah ke visal se yarab

kya miTe dil se dagh hijran ka

(1195) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ki Faalumma-yurid Hai Aaj In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Bas Ki Faalumma-yurid Hai Aaj is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Bas Ki Faalumma-yurid Hai Aaj for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Bas Ki Faalumma-yurid Hai Aaj in PDF.