Butan Jab Ki Zulf-e-dota Bandhte Hain

butan jab ki zulf-e-dota bandhte hain

girah mein dil-e-mubtala bandhte hain

nahin banti bulbul se apni chaman mein

hum ab aashiyana juda bandhte hain

jafa khinchenge par na haarenge ji ko

ye hum tum se shart-e-wafa bandhte hain

girah de ke sar par jo baalon ka juDa

ye nazuk-badan KHush-ada bandhte hain

har ek tar mein us ke dil-ha-e-ushshaq

baham jama kar ke mila bandhte hain

miyan haal-e-'maqtul' dekha nahin kya

kamar aap kis par bhala bandhte hain

(496) Peoples Rate This

Mirza Ibraheem Beg Maqtool's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Butan Jab Ki Zulf-e-dota Bandhte Hain In English By Famous Poet Mirza Ibraheem Beg Maqtool. Butan Jab Ki Zulf-e-dota Bandhte Hain is written by Mirza Ibraheem Beg Maqtool. Read famous Poem Butan Jab Ki Zulf-e-dota Bandhte Hain for youth and Student by Mirza Ibraheem Beg Maqtool. Free Download Butan Jab Ki Zulf-e-dota Bandhte Hain in PDF.