Tumhaare Sath Kai Rabte Nazar Aae

tumhaare sath kai rabte nazar aae

ghamon ke daur talak silsile nazar aae

gira tha zehn ke dariya mein soch kar kankar

phir us ke baad kai daere nazar aae

jahan jahan pe tawaqqo thi manzilon ki hamein

wahan wahan pe nae raste nazar aae

har ek samt manazir the shahr-e-mazi ke

jidhar nigah uThi aaine nazar aae

safar kaThin to na lagta tha chahaton ka magar

jo chal paDe to kai marhale nazar aae

jahan pe Dub gaya tha wo shaKHs dariya mein

wahan se uThte hue bulbule nazar aae

hum apni jaan hatheli pe rakh ke ghar se 'nasim'

nikal paDe to kai moajize nazar aae

(492) Peoples Rate This

Mohaamad Nasim Qureshi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Tumhaare Sath Kai Rabte Nazar Aae In English By Famous Poet Mohaamad Nasim Qureshi. Tumhaare Sath Kai Rabte Nazar Aae is written by Mohaamad Nasim Qureshi. Read famous Poem Tumhaare Sath Kai Rabte Nazar Aae for youth and Student by Mohaamad Nasim Qureshi. Free Download Tumhaare Sath Kai Rabte Nazar Aae in PDF.