Agar Na Manen Na Samho Ki Jaante Hi Nahin

agar na manen na samho ki jaante hi nahin

zidon ki baat bhi hai kuchh mughaalate hi nahin

mutalibaat-e-mohabbat hain main hun aur tum ho

ajib hai ye musallas ki zawiye hi nahin

mere junun ke bharose par kah diya us ne

hum aae aap ke ghar par to aap the hi nahin

bayaz-e-dil ki karen to karen kahan islah

kitabat aisi hui hai ki hashiye hi nahin

isi muhit mein wapas palaT ke aana tha

to ban ke abr kabhi ja se hum uThe hi nahin

ujaD ho gaya sahra-e-dil ki jaise yahan

ghazal o zaigham o kargas kabhi rahe hi nahin

ab is maqam pe bim-o-raja hain be-mani

ki chahte hain use jis ko chahte hi nahin

yahi hai rasta ab duriyan baDhaenge

baDhin hum us ki taraf kaise fasle hi nahin

koi fareb ki hum jis se dil ko bahlaen

talash karte hain KHat us ne jo likhe hi nahin

(540) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Na Manen Na Samho Ki Jaante Hi Nahin In English By Famous Poet Mohammad Aazam. Agar Na Manen Na Samho Ki Jaante Hi Nahin is written by Mohammad Aazam. Read famous Poem Agar Na Manen Na Samho Ki Jaante Hi Nahin for youth and Student by Mohammad Aazam. Free Download Agar Na Manen Na Samho Ki Jaante Hi Nahin in PDF.