Mohabbat Chahti Hai Jis Ko Afsana Bana Dena

mohabbat chahti hai jis ko afsana bana dena

use kafi nahin hota hai diwana bana dena

par-e-gul se juda hum ne na dekha barg-e-bulbul ko

nazar mein aa gaya surat ko be-mana bana dena

hua tha dil jo KHali do ghaDi ko hum na samjhe the

ki ho jaega ye kabe ko but-KHana bana dena

kisi ne bhi na dekha iztirab-e-tishnagi mera

agar dekha to bas shishe ko paimana bana dena

nahin ab chahta ye wahshi-e-be-KHanuman tera

ki aana aur KHak-e-pa se kashana bana dena

kisi ek tegh-e-jauhar-dar ko fazil jila de kar

use aasan hai basti ko virana bana dena

hum apni jaan se dete tumhein sadqa mohabbat ka

magar tum ne to chaha is ko jurmana bana dena

(546) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Chahti Hai Jis Ko Afsana Bana Dena In English By Famous Poet Mohammad Aazam. Mohabbat Chahti Hai Jis Ko Afsana Bana Dena is written by Mohammad Aazam. Read famous Poem Mohabbat Chahti Hai Jis Ko Afsana Bana Dena for youth and Student by Mohammad Aazam. Free Download Mohabbat Chahti Hai Jis Ko Afsana Bana Dena in PDF.