Ye Nashsha-e-agahi KHatarnak Hai Sar Mein

ye nashsha-e-agahi KHatarnak hai sar mein

TuTe hain mere panw isi rahguzar mein

rim-jhim ke aqab-zar mein baran hai abhi aag

achchha hai na dekhe wo mere dida-e-tar mein

sarmaya-e-jaan yun na uTha sare hijabaat

tu aankh ke pardon ki badaulat hai nazar mein

aansu tha wo nikla to gaya toD ke har band

KHushbu tha ki ghar chhoD ke bhi rahta hai ghar mein

us bargah-e-naz hai hum se fuqara ko

KHairaat to milti hai wale kasa-e-sar mein

rahti hain mere sath wo aagah nigahen

kuchh farq na tha warna mere aib-o-hunar mein

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Nashsha-e-agahi KHatarnak Hai Sar Mein In English By Famous Poet Mohammad Aazam. Ye Nashsha-e-agahi KHatarnak Hai Sar Mein is written by Mohammad Aazam. Read famous Poem Ye Nashsha-e-agahi KHatarnak Hai Sar Mein for youth and Student by Mohammad Aazam. Free Download Ye Nashsha-e-agahi KHatarnak Hai Sar Mein in PDF.