Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain

ban-sanwar kar jo wo bazar nikal jate hain

dekhne walon ke jazbaat machal jate hain

har taraf hota hai mushtaq nigahon ka hujum

dil taDapte hue sinon se nikal jate hain

barq girti hai jidhar aankh uTha kar dekhen

hiddat-e-husn se aasab pighal jate hain

achchhe lagte hain hasin log hamare dil ko

gham ke mare hue hum log bahal jate hain

sair ko aate hain gulshan mein raqibon ki tarah

phul sare wo gulistan ke masal jate hain

pur-kashish jitne hain us shoKH jawani ke nuqush

sare naqshe mere ashaar mein Dhal jate hain

jaane kyun log taraste hain bahaaron ke liye

hum to ehsas ki shiddat hi se jal jate hain

ek halchal si macha deti hai surat un ki

chikni miTTi pe mere panw phisal jate hain

raat bhar ye dil-e-wahshi nahin sota 'saqib'

soch ke rang andhere mein badal jate hain

(519) Peoples Rate This

Mohammad Aftab Ahmad Saqib's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain In English By Famous Poet Mohammad Aftab Ahmad Saqib. Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain is written by Mohammad Aftab Ahmad Saqib. Read famous Poem Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain for youth and Student by Mohammad Aftab Ahmad Saqib. Free Download Ban-sanwar Kar Jo Wo Bazar Nikal Jate Hain in PDF.