Ab Wo MoD Aaya Ki Har Pal Moatabar Hone Ko Hai

ab wo moD aaya ki har pal mo'atabar hone ko hai

dekhna manzar naya diwar dar hone ko hai

ab lahu ka rang gahra hai meri taswir mein

aisa lagta hai ki qissa muKHtasar hone ko hai

uD chali hai har taraf daman mein bhar lene ki baat

qatra qatra us ke dariya ka guhar hone ko hai

main bhi dekhun mujh ko manzar se haTa dene ke baad

ab tamasha kaun sa bar-e-digar hone ko hai

phir tarashi jaane wali hain charaghon ki lawen

sham hote hote garm aisi KHabar hone ko hai

muD ke dekhun to aqab mein kuchh nazar aata nahin

samne bhi gum nishan-e-rah-guzar hone ko hai

ab nai rahen khulengi mujh par imkanat ki

'ramz' mere tan pe zahir mera sar hone ko hai

(503) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Wo MoD Aaya Ki Har Pal Moatabar Hone Ko Hai In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Ab Wo MoD Aaya Ki Har Pal Moatabar Hone Ko Hai is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Ab Wo MoD Aaya Ki Har Pal Moatabar Hone Ko Hai for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Ab Wo MoD Aaya Ki Har Pal Moatabar Hone Ko Hai in PDF.