Bojh Sa BaDh Jata Hai Dil Par Sham-Dhale

bojh sa baDh jata hai dil par sham-Dhale

ruk jati hain sansen pal-bhar sham-Dhale

khil uThta hai us ki yaad ka ek ek rang

jag uThte hain kya kya manzar sham-Dhale

aag mere shiryanon ki lau dene lagi

pighla us ki ana ka patthar sham-Dhale

gahre honge sargoshi ke sae abhi

khul jaega lipTa bistar sham-Dhale

kis ko bataun gum hai meri apni pahchan

mujh se juda hai mera paikar sham-Dhale

ek aandhi sa ghaTta baDhta shor-e-nafas

bhar jata hai zehn ke andar sham-Dhale

dil ke ek goshe mein simaT aate hain 'ramz'

saton aasman saton samundar sham-Dhale

(1110) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bojh Sa BaDh Jata Hai Dil Par Sham-Dhale In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Bojh Sa BaDh Jata Hai Dil Par Sham-Dhale is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Bojh Sa BaDh Jata Hai Dil Par Sham-Dhale for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Bojh Sa BaDh Jata Hai Dil Par Sham-Dhale in PDF.