Julus-e-tegh-o-alam Jaane Kis Dayar Ka Hai

julus-e-tegh-o-alam jaane kis dayar ka hai

pas-e-ghubar bhi ek silsila ghubar ka hai

KHala-e-jaan ka safar aur phir tan-e-tanha

ye rasta bhi baDe jabr o iKHtiyar ka hai

tum aa gae ho to mujh ko zara sambhalne do

abhi to nashsha sa aankhon mein intizar ka hai

muqam-e-be-KHabari hai yahan se kitni dur

ki shahr-e-dil mein baDa shor shahryar ka hai

nahin hai sahl meri tarz par ghazal kahna

shiar ye kisi yakta-e-rozgar ka hai

(516) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Julus-e-tegh-o-alam Jaane Kis Dayar Ka Hai In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. Julus-e-tegh-o-alam Jaane Kis Dayar Ka Hai is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem Julus-e-tegh-o-alam Jaane Kis Dayar Ka Hai for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download Julus-e-tegh-o-alam Jaane Kis Dayar Ka Hai in PDF.