UTThe Ghubar-e-shor-e-nafas To Wahshat Mat Karna

uTThe ghubar-e-shor-e-nafas to wahshat mat karna

dasht-darun se hijrat kaisi hijrat mat karna

dariya sabza phul sitare achchhi KHwahish hai

patthar kanTe dhup gard se nafrat mat karna

ek sach ki aawaz mein hain jine ke hazar aahang

lashkar ki kasrat pe na jaana baiat mat karna

neza-e-subh pe le kar chalna kal ka suraj

shab mein magar ailan-e-nawed-e-nusrat mat karna

main to sab kuchh dekh raha hun kya kya hai us par

main jo kahun shishe ka falak hai hairat mat karna

gend si hai be-wazn ye duniya meri Thokar mein

main jo kahun tum is ko uchchhaalo jurat mat karna

'ramz' samundar ki gahrai mera sar-e-angusht

main jo kahun utro pani mein ujlat mat karna

(538) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UTThe Ghubar-e-shor-e-nafas To Wahshat Mat Karna In English By Famous Poet Mohammad Ahmad Ramz. UTThe Ghubar-e-shor-e-nafas To Wahshat Mat Karna is written by Mohammad Ahmad Ramz. Read famous Poem UTThe Ghubar-e-shor-e-nafas To Wahshat Mat Karna for youth and Student by Mohammad Ahmad Ramz. Free Download UTThe Ghubar-e-shor-e-nafas To Wahshat Mat Karna in PDF.