KHarab-o-KHasta Sahi Saeban Banaya Hai

KHarab-o-KHasta sahi saeban banaya hai

muzaf-e-shahr mein hum ne makan banaya hai

kabhi raha hi nahin mausamon se paiwasta

nae mizaj ka ek gulistan banaya hai

kisi ke waste firdaus hai ye sayyara

hamare waste aazar-e-jaan banaya hai

hudud-e-waqt mein mahdud kar ke insan ko

KHud apne waste kyun la-makan banaya hai

gar iKHtilaf tha 'manzar' to bhi bayan karte

zara si baat ko kyun dastan banaya hai

(563) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHarab-o-KHasta Sahi Saeban Banaya Hai In English By Famous Poet Mohammad Ali Manzar . KHarab-o-KHasta Sahi Saeban Banaya Hai is written by Mohammad Ali Manzar . Read famous Poem KHarab-o-KHasta Sahi Saeban Banaya Hai for youth and Student by Mohammad Ali Manzar . Free Download KHarab-o-KHasta Sahi Saeban Banaya Hai in PDF.