Aisa Nahin Salam Kiya Aur Guzar Gae

aisa nahin salam kiya aur guzar gae

jab bhi mile kisi se to dil mein utar gae

zulm-o-sitam ke aage kabhi jo jhuke nahin

un ke nasib un ke muqaddar sanwar gae

kirdar bech dene ka anjam ye hua

dil mein utarne wale nazar se utar gae

kuchh kaifiyat ajib rahi apni dosto

ki dosti kisi se to had se guzar gae

bachchon ki bhuk man ki dawa aur hath tang

ye marhale bhi hum ko gunahgar kar gae

kuchh zindagi to mujh se masail ne chhin li

jo bach gai thi hadse barbaad kar gae

'sahil' jab un ko koi Thikana nahin mila

gham un ke sare mere hi dil mein Thahar gae

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Nahin Salam Kiya Aur Guzar Gae In English By Famous Poet Mohammad Ali Sahil. Aisa Nahin Salam Kiya Aur Guzar Gae is written by Mohammad Ali Sahil. Read famous Poem Aisa Nahin Salam Kiya Aur Guzar Gae for youth and Student by Mohammad Ali Sahil. Free Download Aisa Nahin Salam Kiya Aur Guzar Gae in PDF.