Rah-e-haq Mein Tujhe Hasti Ko MiTana Hoga

rah-e-haq mein tujhe hasti ko miTana hoga

dekhna phir teri Thokar mein zamana hoga

rone wale tujhe hanste hue phulon ki tarah

sari duniya ko hunar apna dikhana hoga

be-wafa ho ke bhi tu itni muqaddas kyun hai

zindagi aaj tujhe raaz batana hoga

waqt-e-ruKHsat yahi kahti thin barasti aankhen

pas mere tujhe phir lauT ke aana hoga

ek chingari tassub ki nazar aai hai

dekhna ye hai kahan is ka nishana hoga

apne mazi ke har ek gham ko bhula de warna

choT phir ubhregi phir dard purana hoga

KHamushi teri meri jaan liye leti hai

apni taswir se bahar tujhe aana hoga

zindagi mein tujhe chalna hai sambhal kar 'sahil'

raste mein tere kam-zarf zamana hoga

(672) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-haq Mein Tujhe Hasti Ko MiTana Hoga In English By Famous Poet Mohammad Ali Sahil. Rah-e-haq Mein Tujhe Hasti Ko MiTana Hoga is written by Mohammad Ali Sahil. Read famous Poem Rah-e-haq Mein Tujhe Hasti Ko MiTana Hoga for youth and Student by Mohammad Ali Sahil. Free Download Rah-e-haq Mein Tujhe Hasti Ko MiTana Hoga in PDF.