Aaya Hai Ek ShaKHs Ajab Aan-ban Ka

aaya hai ek shaKHs ajab aan-ban ka

naqsha badal gaya hai purane makan ka

tare se TuTte hain abhi tak idhar-udhar

baqi hai kuchh nasha abhi kal ki uDan ka

kalak si jam rahi hai chamakti zamin par

suraj se jal uTha hai waraq aasman ka

dariya mein dur dur talak kashtiyan na thin

KHatra na tha hawa ko kisi baadban ka

donon ke dil mein KHauf tha maidan-e-jang mein

donon ka KHauf fasla tha darmiyan ka

'alwi' kiwaD khol ke dekha to kuchh na tha

wo to qusur tha mere wahm-o-guman ka

(704) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaya Hai Ek ShaKHs Ajab Aan-ban Ka In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Aaya Hai Ek ShaKHs Ajab Aan-ban Ka is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Aaya Hai Ek ShaKHs Ajab Aan-ban Ka for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Aaya Hai Ek ShaKHs Ajab Aan-ban Ka in PDF.