Din Mein Pariyan Kyun Aati Hain

din mein pariyan kyun aati hain

aisi ghaDiyan kyun aati hain

apna ghar aane se pahle

itni galiyan kyun aati hain

bahar kis ka Dar lagta hai

ghar mein chiDiyan kyun aati hain

din kyun nange ho jate hain

raaten uryan kyun aati hain

sher mein ulTi sidhi baaten

bol meri jaan kyun aati hain

'alwi' qabron tak jaane mein

bhul-bhulayyan kyun aati hain

(473) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Mein Pariyan Kyun Aati Hain In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Din Mein Pariyan Kyun Aati Hain is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Din Mein Pariyan Kyun Aati Hain for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Din Mein Pariyan Kyun Aati Hain in PDF.