Sach Kahan Kahta Hai Jaane Wala

sach kahan kahta hai jaane wala

KHub pachhtaega aane wala

raat aur din ka tasalsul kya hai

ek chakkar hai thakane wala

mutmain hai wo bana kar duniya

kaun hota hun main Dhane wala

subh se khod raha hun ghar ko

KHwab dekha hai KHazane wala

thak gaya tha to zara ruk jata

meri taswir banane wala

dil mein is darja KHamoshi kyun hai

kya hua shor machane wala

sharm se Dub marega 'alwi'

KHush kahan hoga satane wala

(588) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sach Kahan Kahta Hai Jaane Wala In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Sach Kahan Kahta Hai Jaane Wala is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Sach Kahan Kahta Hai Jaane Wala for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Sach Kahan Kahta Hai Jaane Wala in PDF.