Sharife Ke DaraKHton Mein Chhupa Ghar Dekh Leta Hun

sharife ke daraKHton mein chhupa ghar dekh leta hun

main aankhen band kar ke ghar ke andar dekh leta hun

udhar us par kya hai ye kabhi socha nahin main ne

magar main roz khiDki se samundar dekh leta hun

saDak pe chalte phirte dauDte logon se ukta kar

kisi chhat par maze mein baiThe bandar dekh leta hun

ye sach hai apni qismat koi kaise dekh sakta hai

magar main tash ke patte uTha kar dekh leta hun

gali-kuchon mein chaurahon pe ya bas ki qataron mein

main us chup-chap si laDki ko aksar dekh leta hun

chala jaunga jaise KHud ko tanha chhoD kar 'alwi'

main apne aap ko raaton mein uTh kar dekh leta hun

(493) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sharife Ke DaraKHton Mein Chhupa Ghar Dekh Leta Hun In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Sharife Ke DaraKHton Mein Chhupa Ghar Dekh Leta Hun is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Sharife Ke DaraKHton Mein Chhupa Ghar Dekh Leta Hun for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Sharife Ke DaraKHton Mein Chhupa Ghar Dekh Leta Hun in PDF.