UThte Hue Qadmon Ki Dhamak Aane Lagi Hai

uThte hue qadmon ki dhamak aane lagi hai

pau phaTne se pahle hi gali jag uThi hai

aashiq ho to choron mein bhi ab nam likhao

darwaza bhale band hai khiDki to khuli hai

log apne makanon ki taraf bhag rahe hain

ghar walon pe jaise koi uftad paDi hai

ai baad-e-saba kis liye phirti hai pareshan

kya tu bhi usi phul ki Thukrai hui hai

aa gardish-e-dauran tujhe sine se laga lun

ab tak to meri jaan tu mere sath rahi hai

ab aae ho duniya mein to yun munh na bigaDo

do roz to rahna hai buri hai to buri hai

bazar ke damon ki shikayat hai har ek ko

phir bhi sar-e-bazar baDi bhiD lagi hai

kanTe ki tarah sukh ke rah jaoge 'alwi'

chhoDo ye ghazal-goi ye bimari buri hai

(638) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UThte Hue Qadmon Ki Dhamak Aane Lagi Hai In English By Famous Poet Mohammad Alvi. UThte Hue Qadmon Ki Dhamak Aane Lagi Hai is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem UThte Hue Qadmon Ki Dhamak Aane Lagi Hai for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download UThte Hue Qadmon Ki Dhamak Aane Lagi Hai in PDF.