Zamin Kahin Bhi Na Thi Chaar-su Samundar Tha

zamin kahin bhi na thi chaar-su samundar tha

kise dikhate baDa haul-nak manzar tha

luDhak ke meri taraf aa raha tha ek patthar

phir ek aur phir ek aur baDa sa patthar tha

fasilen dil ki giraata hua jo dar aaya

wo koi aur na tha KHwahishon ka lashkar tha

bula raha tha koi chiKH chiKH kar mujh ko

kuen mein jhank ke dekha to main hi andar tha

bahut se hath ug aae the meri aankhon mein

har ek hath mein ek nok-dar KHanjar tha

wo jangalon mein daraKHton pe kudte phirna

bura bahut tha magar aaj se to behtar tha

hamare waste 'alwi' ke sher kya kam hain

chalo qubul ki 'ghaalib' baDa suKHan-war tha

(638) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Kahin Bhi Na Thi Chaar-su Samundar Tha In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Zamin Kahin Bhi Na Thi Chaar-su Samundar Tha is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Zamin Kahin Bhi Na Thi Chaar-su Samundar Tha for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Zamin Kahin Bhi Na Thi Chaar-su Samundar Tha in PDF.