Garmi

raat ab siyani ho gai hai

guDiya kho jae

to roti nahin!

buKHar mein mubtala

buDhe aasaman mein

itni bhi sakat nahin

ki uTh kar wazu kare

suraj KHun-KHwar bille ki tarah

ek ek chiz par

apne naKHun tez karta hai!

hawa ka jhonka

chuhe ki manind

bil se bahar aate Darta hai!

waqt aaj kal

dozaKH ke aas pas se guzarta hai!

(455) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garmi In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Garmi is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Garmi for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Garmi in PDF.