Ghar Ki Chinta

ghar se bahar

aangan mein

khaT pe baiThi

tin aurten

khusur-pusur karti hain!

ek moTi hai

dusri lambi

tisri qad ki chhoTi hai

chhoTi donon hath hila ke

munh hi munh mein

jaane kya kahti hai

lambi sar se sar joDe

baDe chaw se sunti hai

moTi nak pe ungli dhar ke

bina sune hi

maTki sa sar dhunti hai

pas hi ek nannhi si chiDiya

gire paDe tinke chunti hai!

(435) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Ki Chinta In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Ghar Ki Chinta is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Ghar Ki Chinta for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Ghar Ki Chinta in PDF.