Mujhe Un Jaziron Mein Le Jao

mujhe un jaziron mein le jao

jo kanch jaise

chamakte hue paniyon mein ghire hain

jahan laDkiyan

nariyal ke daraKHton ke patton se

apne badan ke

KHatarnak hisse chhupati hain

phulon ke gajre pahan kar

baDi shan se muskuraati hain

bachche jahan

ret ke ghar banate hain

aur sahilon ki chamakti hui ret par

log sun-bath lete hain

pani mein ghota laga kar

sipiyan machhliyan aur ghonghe pakaDte hain

aur raat ko

chandni mein

nachte aur gate hain

aur phuns ke

nanhe munne makanon mein

aaram ki nind so jate hain

mujhe un jaziron mein le jao

jo kanch jaise

chamakte hue paniyon mein ghire hain

to mumkin hai main

aur kuchh roz ji lun

ki shahron mein ab

mera dam ghuT gaya hai

(444) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Un Jaziron Mein Le Jao In English By Famous Poet Mohammad Alvi. Mujhe Un Jaziron Mein Le Jao is written by Mohammad Alvi. Read famous Poem Mujhe Un Jaziron Mein Le Jao for youth and Student by Mohammad Alvi. Free Download Mujhe Un Jaziron Mein Le Jao in PDF.