Bar-e-KHatir Baghban Ka Ne Dil-azar-e-chaman

bar-e-KHatir baghban ka ne dil-azar-e-chaman

sab se rahta hun alag jun KHar-e-diwar-e-chaman

ne dhuan dil se uThe yaro na parwana jale

aatish-e-KHamosh hun manind-e-gulzar-e-chaman

sirf aaraish ko hun gul-ha-e-kaghaz ki misal

bu kare mujh ko na koi aur na darkar-e-chaman

bulbul-e-rishta-bapa laTke hai shaKH-e-gul se aaj

saKHt uljheDe mein hai ya-rab gunahgar-e-chaman

kya hue main kis se puchhun haal un ka ai 'nisar'

ab nazar aate nahin wo naz-bardar-e-chaman

(566) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bar-e-KHatir Baghban Ka Ne Dil-azar-e-chaman In English By Famous Poet Mohammad Amaan Nisar. Bar-e-KHatir Baghban Ka Ne Dil-azar-e-chaman is written by Mohammad Amaan Nisar. Read famous Poem Bar-e-KHatir Baghban Ka Ne Dil-azar-e-chaman for youth and Student by Mohammad Amaan Nisar. Free Download Bar-e-KHatir Baghban Ka Ne Dil-azar-e-chaman in PDF.