Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai

mere parwane ko ab muzhda-e-mayusi hai

kyunki wo parda-nashin shoala-e-fanusi hai

saqiya dast-e-nigarin se tere mina mein

hum jo karte hain nazar jalwa-e-tausi hai

jam-e-labrez chahakta hai yad-e-baiza sa

yar ke hath mein kya moajaza-e-musi hai

marti us gul pe hai bikta hai jo kauDi kauDi

tujh pe marti nahin bulbul bhi kuchh ullu si hai

ai sanam nala o afghan se mere sham o sahar

dil ke but-KHane mein ab naghma-e-naqusi hai

dasht mein chal ki har ek KHar-e-bayaban ko 'nisar'

jun hina kab se tamanna-e-qadam-bosi hai

(563) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai In English By Famous Poet Mohammad Amaan Nisar. Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai is written by Mohammad Amaan Nisar. Read famous Poem Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai for youth and Student by Mohammad Amaan Nisar. Free Download Mere Parwane Ko Ab Muzhda-e-mayusi Hai in PDF.