Bahut Shor Hai

bahut shor hai

matahat laDkiyan mere zanu pe sajda karen

KHauf-aludgi shor-o-shar ki pazirai mein ro paDe

ye zaminen siyah-nasl ghoDon ki aawaz se jagti hain

chashm-e-shab-kor har chandni-raat mein ek jalsa karegi

zamin fil-e-be-zor ki tarah paTti rahi hai

unhi saaton mein ba-shart-e-sikandar koi aaine ke barabar milega

wo hansti hai aur saya-e-afiyat ke tasawwur ko majruh karti hai

use fil-e-be-zor ke samne Dal do

us ke chehre ko TuTe hue aaine se musaKHKHar karo

wo hansti hai aur girya-e-nim-shab ke samundar pe apna alam kholti hai

hath jal makDiyon se kurede hue

panw mein ghas lipTi hui

aafiyat hai samundar ki bahti hui ghas mein

aafiyat hai samundar ki aawaz mein

shor hai

shor mein aafiyat

matahat laDkiyo mere zanu pe sajda karo

ye zaminen siyah-nasl ghoDon ki aawaz se jagti hain

(658) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Shor Hai In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Bahut Shor Hai is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Bahut Shor Hai for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Bahut Shor Hai in PDF.