Saat-e-aghaz Ki Be-manawiyyat

sari be-manawiyyat saat-e-aghaz mein thi

jab hawa garm hui

saebani ke liye dhup mein ek patthar tha

safar aaghaz kiya

raat aasab-shikan lai thi bistar pe use

wo bhi diwar bana jis pe giri thi diwar

koi dam baiTh liye

phir safar aaghaz kiya

dil ne chaha tha ki ro len magar ab kya rona

dauD ki aaKHiri had par bhi koi rota hai

han magar wo jo abhi saat-e-aghaz mein hai

dauD ki aaKHiri had jis ke liye raaz mein hai

(517) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saat-e-aghaz Ki Be-manawiyyat In English By Famous Poet Mohammad Anvar Khalid. Saat-e-aghaz Ki Be-manawiyyat is written by Mohammad Anvar Khalid. Read famous Poem Saat-e-aghaz Ki Be-manawiyyat for youth and Student by Mohammad Anvar Khalid. Free Download Saat-e-aghaz Ki Be-manawiyyat in PDF.