ChhuTTi Ka Zamana

school band hain sab ab sair ko hai jaana

likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana

basta kitab copy sab chhuTTiyan manaen

bar-e-giran se in ke hum bhi najat paen

baste mein jo bandha hai us ko jahan mein dekhen

kya kya kahan chhupa hai aao pata lagaen

sunte hain kuchh ajab hai duniya ka kar-KHana

likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana

aao sunen kahani koi nai purani

nani sunaen ya phir dadi ki ho zabani

ek rakshas bhi aae ho KHub khincha-tani

aisi laDai ho ki aa jae yaad nani

phir KHatma mein aa kar dushman ka haar jaana

likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana

bas khelne ki KHatir ye chhuTTiyan mili hain

har-su khilaDiyon ki kuchh Toliyan bani hain

lahra rahe hain balle genden uchhal rahi hain

footbaal ki bhi Teamen maidan mein aa gai hain

tagDa muqabla hai kuchh kar ke hai dikhana

likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana

har samt har Dagar par chhuTTi ka raj qaem

aaankhon mein jhilmilate hain sair ke azaem

ji chahta hai sadiyon zinda rahen yahan hum

qaem rahe ye chhuTTi daim rahe ye mausam

bas soch hi to hai ye mumkin nahin ye mana

likhna hai ab na paDhna bas chhuTTiyan manana

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChhuTTi Ka Zamana In English By Famous Poet Mohammad Asadullah. ChhuTTi Ka Zamana is written by Mohammad Asadullah. Read famous Poem ChhuTTi Ka Zamana for youth and Student by Mohammad Asadullah. Free Download ChhuTTi Ka Zamana in PDF.