Tajalliyon Se Andheron Ki Jang Jari Hai

tajalliyon se andheron ki jang jari hai

ujale surKH-ru hon ye dua hamari hai

jahan pe kal tha gulistan wo aaj maqtal hai

falak KHamosh hai phir dekhen kis ki bari hai

sar-e-niyaz jhukana mohabbaten dena

ye buz-dili nahin dar-asl KHaksari hai

rah-e-jumud se nafrat uDan ki KHwahish

haqiqatan ye zarurat hai jaan-nisari hai

ye gulistan hai hamari riyazaton ka samar

ise sanwarne mein sab ki hisse-dari hai

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tajalliyon Se Andheron Ki Jang Jari Hai In English By Famous Poet Mohammad Azhar Shams. Tajalliyon Se Andheron Ki Jang Jari Hai is written by Mohammad Azhar Shams. Read famous Poem Tajalliyon Se Andheron Ki Jang Jari Hai for youth and Student by Mohammad Azhar Shams. Free Download Tajalliyon Se Andheron Ki Jang Jari Hai in PDF.