Usne Likha Tha Harf-e-judai Mere Liye

us ne likha tha harf-e-judai mere liye

phir miT gai thi sari KHudai mere liye

gajre tamam shahr mein banT aaya to khula

ghar mein bhi muntazir thi kalai mere liye

sundar gulab KHwab to KHwabon ki baat hai

ye raat nind bhi to na lai mere liye

pur-nur sar-zamin pe aa kar bhula diya

kis ne lahu se shama jalai mere liye

wo bhi the ratjagon ki masafat mein ham-safar

taron ne raat raat sajai mere liye

'firoz' main ne KHud hi salasil pahan liye

mumkin nahin hai ab to rihai mere liye

(556) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usne Likha Tha Harf-e-judai Mere Liye In English By Famous Poet Mohammad Firoz Shah. Usne Likha Tha Harf-e-judai Mere Liye is written by Mohammad Firoz Shah. Read famous Poem Usne Likha Tha Harf-e-judai Mere Liye for youth and Student by Mohammad Firoz Shah. Free Download Usne Likha Tha Harf-e-judai Mere Liye in PDF.