Jawaz

pyare bachcho pata hai KHuda ne tumhein kyun banaya hai

is liye ki tum wajh be-wajh muskurao

aur uljhanon aur bakheDon mein paDe man bap ko muskurane par majbur kar do

pyare laDko pata hai KHuda ne tumhein kyun banaya hai

is liye ki tum har har us muhim mein be-KHatar kud paDo jo baDe sar karna chahte the

lekin buz-dili ya KHauf ki wajh se na kar sake

pyari laDkiyo pata hai KHuda ne tumhein kyun banaya hai

is liye ki tum zindagi ka daman husn-e-do-alam se bhar do

aur viranon mein bhi qadam rakho to wahan chupke se bahaar aa jae

pyari aurto pata hai KHuda ne tumhein kyun banaya hai

is liye ki tum mohabbat ke jadu se zamin ke sine ko pak kar do

nafrat se nifaq se na-umidi hai

pyare mardo pata hai KHuda ne tumhein kyun banaya hai

is liye ki tum hathon mein hath Dal kar aur saron se sar joD kar hifazat karo

amn ki aazadi ki insaf ki

pyare buzurgo pata hai KHuda ne tumhein kyun banaya hai

is liye ki tum kaT sako jo tum ne boya tha

aur aane wali naslon ko munh bhar ke bata sako ki unhen kya bona chahiye

(526) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jawaz In English By Famous Poet Mohammad Haneef Rame. Jawaz is written by Mohammad Haneef Rame. Read famous Poem Jawaz for youth and Student by Mohammad Haneef Rame. Free Download Jawaz in PDF.