Mehnat Karo

hai imtihan sar par khaDa mehnat karo mehnat karo

bandho kamar baiThe ho kya mehnat karo mehnat karo

be-shak paDhai hai sawa aur waqt hai thoDa raha

hai aisi mushkil baat kya mehnat karo mehnat karo

shikwe shikayat jo ki the tum ne kahe hum ne sune

jo kuchh hua achchha hua mehnat karo mehnat karo

mehnat karo inam lo inam par ikram lo

jo chahoge mil jaega mehnat karo mehnat karo

jo baiTh jaen haar kar kah do unhen lalkar kar

himmat ka kuDa mar kar mehnat karo mehnat karo

tadbiren sari kar chuke baaton ke dariya bah chuke

bak bak se ab kya faeda mehnat karo mehnat karo

ye bij agar Daloge tum dil se use pa loge tum

dekhoge phir is ka maza mehnat karo mehnat karo

mehnat jo ki ji toD kar har shauq se munh moD kar

kar doge dam mein faisla mehnat karo mehnat karo

kheti ho ya saudagari ho bhik ho ya chaakari

sab ka sabaq yaksan suna mehnat karo mehnat karo

jis din baDe tum ho gae duniya ke dhandon mein phanse

paDhne ki phir fursat kuja mehnat karo mehnat karo

bachpan raha kis ka bhala anjam ko socho zara

ye to kaho khaoge kya mehnat karo mehnat karo

(1481) Peoples Rate This

Mohammad Husain Azad's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Mehnat Karo In English By Famous Poet Mohammad Husain Azad. Mehnat Karo is written by Mohammad Husain Azad. Read famous Poem Mehnat Karo for youth and Student by Mohammad Husain Azad. Free Download Mehnat Karo in PDF.