Humse Karte Ho Bayan Ghairon Ki Yari Aan Kar

hum se karte ho bayan ghairon ki yari aan kar

rah gai hai aap ki ye dost-dari aan kar

hum ko aane se tumhaari bazm ke kya tha husul

dekh lete the magar surat tumhaari aan kar

ruThne par mere kya lazim tha ho jaana KHafa

balki karni thi tumhein KHatir hamari aan kar

tan-e-bad-KHwahan se tu ik-dam na pawega qarar

ki jo tere dar pe hum ne be-qarari aan kar

tha agarche ghash mein majnun lekin aankhen khul gain

sar pe us ke jis ghaDi laila pukari aan kar

jis jigar-kushta ka tere lasha tha KHun mein paDa

KHub sa roya wahan abr-e-bahaari aan kar

main bhi kya bargashta-talea hun ki 'tanha' raat ko

phir gai dar tak mere us ki sawari aan kar

(531) Peoples Rate This

Mohammad Isa Tanha's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Humse Karte Ho Bayan Ghairon Ki Yari Aan Kar In English By Famous Poet Mohammad Isa Tanha. Humse Karte Ho Bayan Ghairon Ki Yari Aan Kar is written by Mohammad Isa Tanha. Read famous Poem Humse Karte Ho Bayan Ghairon Ki Yari Aan Kar for youth and Student by Mohammad Isa Tanha. Free Download Humse Karte Ho Bayan Ghairon Ki Yari Aan Kar in PDF.