Ek Khula Maidan Tamasha-gah Ke Us Par Hai

ek khula maidan tamasha-gah ke us par hai

jis mein har raqqas ka ek aaina tayyar hai

ret ke zariye hamari manzilen aur un ki hum

pas yahan samt-e-safar ka jaanna be-kar hai

raat aur tufan-e-abr-o-baad mere har taraf

dur lau deti hui ek mashal-e-ruKHsar hai

phir kabhi uTThe to mil lenge na itne dukh uTha

maut se hota hua ek rasta hamwar hai

is tarah bab-e-nasihat khol kar baiThe hain log

jaise KHair o shar ka duniya mein koi mear hai

lahr wo aai ki hum hain aur nasheb-e-gumrahi

gham ke aage band ab ke bandhna dushwar hai

silsila aawaz ka dekho ki KHoshe sarsarae

phir khanak hai dhat ki phir sanp ki phunkar hai

(546) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Khula Maidan Tamasha-gah Ke Us Par Hai In English By Famous Poet Mohammad Izhar Ul Haq. Ek Khula Maidan Tamasha-gah Ke Us Par Hai is written by Mohammad Izhar Ul Haq. Read famous Poem Ek Khula Maidan Tamasha-gah Ke Us Par Hai for youth and Student by Mohammad Izhar Ul Haq. Free Download Ek Khula Maidan Tamasha-gah Ke Us Par Hai in PDF.