Nazm

ghane peD shaKHon pe baur aur unche pahaD

hari jhaDiyan aur sabze ki moTi tahen

saDak ke kinaron pe khambon ke tar hawa se hilen sarsaraen

rasile jhakoron mein wo tez nashsha ki bas so hi jaen

kisi ek ko pyas lag jae to sab ke sab khelte muskuraate

nashebi chaTanon mein bahte hue miThe jharne ki jaanib

chalen aur hathon ke pyale ko ek dusre ke labon se laga den

kabhi koi bus aae aur jo bhi utre KHulus-o-mohabbat se ahwal-pursi kare

aur asbab sar par dhare ganw ka rasta le

kabhi koi charwaha kandhe pe laThi rakhe aur hathon ko laThi pe laTkae

aahista aahista rewaD liye guzre aur puchhta jae

kyun ji kahan ja rahe ho

kabhi dur ke khet se ek madhur tan uThe aur sab bhul jaen

ki kya kah rahe the

phir abba nazar aaen aur

kankaron aur lakiron ki dil-chasp masum bazi ko sab bhul jaen

koi zin ghoDe pe kasne lage koi saman uThae

shahr se aane wale phalon ki mahak har taraf phail jae

khilaunon ki jhankar dil mein ajab gudgudi si machae

haweli ke chobi munaqqash baDe dar pe dadi khaDi muntazir hon

nashta kab se tayyar hai

aaTh bajne ko hain aaj office nahin

jaenge kya

(539) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazm In English By Famous Poet Mohammad Izhar Ul Haq. Nazm is written by Mohammad Izhar Ul Haq. Read famous Poem Nazm for youth and Student by Mohammad Izhar Ul Haq. Free Download Nazm in PDF.