Be-KHudi Mein Jab Teri Mahfil Mein Diwane Gae

be-KHudi mein jab teri mahfil mein diwane gae

ahl-e-dil ahl-e-hawas ke farq pahchane gae

kaise kaise haal mein dekha janab-e-shaiKH ko

mahfil-e-rindan mein jab bhi waz farmane gae

mai-kash-e-awara is duniya se kya uTh kar gaya

mai gai jam-o-subu saqi-o-mai-KHane gae

ai hasinan-e-jahan ahl-e-hawas se hoshiyar

warna husn-o-ishq se marbut afsane gae

faisla-kun kis qadar thi hae zalim ki ada

dil-jigar qalb-o-nazar ke sare afsane gae

apne apne bas ki baaten ahl-e-mahfil jaan len

sham-e-mahfil ke qarin phir lije parwane gae

zindagi-bhar 'asr' go rindon ke ham-mashrab rahe

phir bhi diwanon mein farzane se gardane gae

(506) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-KHudi Mein Jab Teri Mahfil Mein Diwane Gae In English By Famous Poet Mohammad Naqi Rizvi Asr. Be-KHudi Mein Jab Teri Mahfil Mein Diwane Gae is written by Mohammad Naqi Rizvi Asr. Read famous Poem Be-KHudi Mein Jab Teri Mahfil Mein Diwane Gae for youth and Student by Mohammad Naqi Rizvi Asr. Free Download Be-KHudi Mein Jab Teri Mahfil Mein Diwane Gae in PDF.