Aaj Apne Dil Se Phir Uljha Hun Main

aaj apne dil se phir uljha hun main

muddaa ye hai ki dekhun kya hun main

rokna ai maddiyat ke hijab

KHud-baKHud ifsha hua jata hun main

hai meri aankhon mein kaif-e-be-KHudi

KHwab-e-doshin se abhi jaga hun main

chandni raaton mein jab uThti hai mauj

nur ban kar chand mein bahta hun main

kis qadar rangin hai mera mizaj

subh ke phulon ka gahwara hun main

gulsitan mein chheD kar ghunchon ke saz

KHud-baKHud ek git ga leta hun main

jada-e-hasti hai ek rah-e-ghalat

ye kahan gum ho ke aa pahuncha hun main

dur tak koi nahin hai ham-KHayal

aise KHwab-abaad mein tanha hun main

karwan-e-zindagi aage gaya

pur-ghubar ek subh ka tara hun main

tang hai mujh par faza-e-kaenat

zarre ki aaghosh mein sahra hun main

zindagi ki bujh gain shamen 'ziya'

tirgi-e-shab ka parwana hun main

(548) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Apne Dil Se Phir Uljha Hun Main In English By Famous Poet Mohammad Sadiq Zia. Aaj Apne Dil Se Phir Uljha Hun Main is written by Mohammad Sadiq Zia. Read famous Poem Aaj Apne Dil Se Phir Uljha Hun Main for youth and Student by Mohammad Sadiq Zia. Free Download Aaj Apne Dil Se Phir Uljha Hun Main in PDF.